RSS

Category Archives: lyrics

7 Khoon Maaf Lyrcis – O’Mama (Acoustic)

Gol Bana Kar Honth Bahut Paas Aaye Par
O’ Mama, O’ Mama
Unke Labh Hi Dekhte Reh Gaye Chai Par
O’ Mama, O’ Mama

Takraaye Hothon Se Phir Bhi Umeed Ho
Koi Toh Iss Tarah Aashiq Shaheed Ho
Koi Gaya Gaya
O’ Mama, O’ Mama

O’ Mama, Kanche Maare
Billi Jaisi, Aankhon Wali
Ek Meow Si Ladki
O’ Mama, O’ Mama

Unghe Kabhi, Sunghe Kabhi
Jhanke Kabhi, Aaon Kabhi
Kabhi Jaon Si Ladki
O’ Mama, O’ Mama

 
2 Comments

Posted by on January 31, 2011 in bollywood, lyrics

 

Tags: , ,

7 Khoon Maaf Lyrics – Doosri Darling

Meelo Chalke, Meelo Se Aya
Roos Ka Koi Pushkin Hai
Meri Khatir Moscow Chhoda
Ishq Mei Ye Bhi Mumkin Hai

Darling, Aankhon Se Aankhen Chaar Karne Do
Roko Na Roko Na Mujhko Pyaar Karne Do

Bekaif Hai Bahara, Bechain Jaane Yaara
Bulbulon Ko Abhi Intezaar Karne Do

Tuhri Waali, Ek Pahaadi, Jisme Pariya Rehti Thi
Khyber Paar, Milegi Tujhko, Saari Pariya Kehti Thi

Darling, Khadim Hoon Shehzaadi Ko Taiyyaar Karne Do
Bekraar Bekraar Hai Karaar Karne Do
Dil-E-Yaar Dil-E-Yaar Ikhteyar Karne Do

Darling Aankhon Se Aankhen Chaar Karne Do
Bekaif Hai Bahara, Bechain Jaane Yaara
Bulbulon Ko Abhi Intezaar Karne Do

 
1 Comment

Posted by on January 31, 2011 in bollywood, lyrics

 

Tags: , ,

7 Khoon Maaf Lyrics – Yeshu

Girje Ka Gajar Sunte Ho, Yeshu
Phir Bhi Tum Chup Rehte Ho, Yeshu
Apne Chahane Walon Ko Tum Kaise Chunte Ho, Yeshu

Kya Jism Ye Bemaani Hai
Kya Rooh Gareeb Hoti Hai
Tum Pyaar Hi Pyaar Ho Lekin
Kya Pyaar Saleeb Hoti Hai

Rui Ki Tarah Iss Jism Ko Tum
Kis Liye Bunte Ho, Yeshu

Koi Nahin Iss Waqt Yahan
Iss Waqt Mujhe Apnaana
Aagosh Mei Apni Le Lo
Phir Chaahe Jahan Le Jaana

Uss Paar To Koi Dard Nahin
Bolo Na Sunte Ho, Yeshu

 
1 Comment

Posted by on January 31, 2011 in bollywood, lyrics

 

Tags: , ,

7 Khoon Maaf Lyrics – Dil Dil Hai

Dil Dil Hai, Dil Hai Dil Dil Hai, Dil Dil Hai, Dil Hai Dil

Chakme Pe Chakme, Chakme Pe Chak Chak
Dil Kabhi Masti, Dil Kabhi Mastak
Chakme Pe Chakme Hain, Chakme Pe Chak Chak
Dil Kabhi Masti Hai, Dil Kabhi Mastak
Kabhi Sargoshi Hai, Kabhi Dastak De Re
Kabhi Khoon Ki Garmi, Kabhi Thandak De Re
Maano To Na Maano To, Dil Dil Hai

Sau Jannato Ke Kaabil Hai
Yeh Doobton Ka Saahil Hai
Yeh Doobton Ka Saahil Hai
Yeh Jahilon Ka Jaahil Hai
Yeh Aakilon Ka Aakil Hai
Sau Jannato Ke Kaabil Hai, Yeh Dil Hai Dil Hai Dil

Dil Dard Ki Matki, Dil Jaan Ki Aafat
Badmashi Karke, Dikhlaaye Sharafat
Dil Dard Ki Matki Hai, Dil Jaan Ki Aafat
Badmashiyan Karke, Dikhlaaye Sharafat
Jo Dil Ko Chura Le, Dil Uski Amaanat
Sab Ishq Ke Mujrim, Ik Dil Ki Zamaanat
Aaye To Na Aaye To, Dil Dil Hai

Yeh Dil Kaande Ka Dil Hai
Yeh Dil Kaande Ka Dil Hai
Sau Jannaton Ke Kaabil Hai
Aasu Raseed Iski, Yeh Dhadkano Ka Dil
Dil Dil Hai, Dil Hai Dil Dil Hai, Dil Dil Hai, Dil Hai Dil

 
1 Comment

Posted by on January 31, 2011 in bollywood, lyrics

 

Tags: , ,

7 Khoon Maaf Lyrics – Tere Liye

Tere Liye Tere Liye
Lafzon Mei, Lamhon Ki, Doliyan Laaye Hain
Sheron Mei, Khushboo Ki, Boliyan Laaye Hain
Humne Sau Saude Kiye, Tere Liye Tere Liye

Aankhon Mei Na Chubhe Taaron Ki Kirchhiyan
Sheeshe Ka Aasma Laaye Hain, Tere Liye Tere Liye
Taare Jadey Heeron Se Bhi Kitne Badey
Humne Aasmano Mei Lakhon Ke Saude Kiye
Tere Liye Tere Liye

Halki Si Sardiyan Aur Saans Garam Ho
Shaamo Ki Shawl Bhi, Thodi Si Narm Ho
Tere Liye Kishmish Chuney, Pistey Chuney, Tere Liye
Humne To Parindo Se, Baaghon Ke Saude Kiye
Tere Liye Tere Liye

 
1 Comment

Posted by on January 31, 2011 in bollywood, lyrics

 

Tags: , ,

7 Khoon Maaf Lyrics – Awaara

Awaara Awaara
Hawa Pe Rakhe Sookhe Patte, Awaara
Paon Zameen Pe Lagte Hi Udd Lete Hain Dobara
Awaara Awaara

Na Shaakh Judey, Na Jadh Pakdey
Mausam Mausam Banjara
Awaara Awaara

Jhonka Jhonka Ye Hawa
Roz Udaaye Re
Jaaki Daar Gayi Woh Toh Beet Gaya
Jaaki Maati Gayi Waka Meet Gaya
Koi Na Bulaaye Re
Rut Rang Liye Aayi Bhi Gayi
Muthiya Na Khuli Berang Rahi
Sookha Patta Banjara
Awaara Awaara

Haule Haule Ye Hawa
Khel Khilaaye Re
Ghole Dhoop Kabhi, Ghole Chhaon Kabhi
Kabhi Pankh Baney, Baney Paon Kabhi
Dhool Dikhaaye Re
Koi Tha Na Mili Na Hawa Na Zameen
Na Umeed Ugi Na Dilaasa Kahin
Udta Jaaye Bechara
Awaara Awaara

 
1 Comment

Posted by on January 31, 2011 in bollywood, lyrics

 

Tags: , ,

7 Khoon Maaf Lyrics – O’Mama

O’ Mama, O’ Mama, O’ Mama, O’ Mama
Dil Se Hi Ab Sochta Hai Dil Mera
Sar Ko Aksar Nochta Hai Dil Mera
Ab Khair To Nahin, Koi Bair To Nahin
Dushman Jiye Mera, Woh Bhi Gair To Nahi
Jo Dil Gaya Gaya
O’mama, O’mama

O’ Mama, Kanche Maare
Billi Jaisi, Aankhon Wali
Ik Meow Si Ladki
O’ Mama, O’ Mama

Unghe Kabhi, Sunghe Kabhi
Jhanke Kabhi, Aaon Kabhi
Kabhi Jaon Si Ladki
O’ Mama, O’ Mama

Aise Dabey Paon Aaye Woh Ki Chhaap Na Ho
Khwaab Mei Mil Jaaye Lekin Woh Khwaab Na Ho
Umeed To Nahin, Phir Bhi Umeed Ho
Koi To Iss Tarah, Aashiq Shaheed Ho
Koi Gaya Gaya
O’ Mama, O’ Mama

O’ Mama, Kanche Maare
Billi Jaisi, Aankhon Wali
Ik Meow Si Ladki
O’ Mama, O’ Mama

Unghe Kabhi, Sunghe Kabhi
Jhanke Kabhi, Aaon Kabhi
Kabhi Jaon Si Ladki
O’ Mama, O’ Mama

 
1 Comment

Posted by on January 31, 2011 in bollywood, lyrics

 

Tags: , ,

7 Khoon Maaf Lyrics – Bekaraan

Bekara Hai Bekaraan
Aankhen Bandh Keejay Na
Doobne Lagey Hain Hum
Saans Lene Deejay Na

Ik Zara Chehra, Udhar Keejay Inayaat Hogi
Aap Ko Dekh Ke Badi Der Se Meri Saans Ruki Hai

Ik Zara Dekhiye To, Aapke Paon Taley
Kuchh To Atka Hai Kahin, Waqt Se Kahiye Chaley
Udti Udti Si Nazar Mujhko Chhoo Jaye Agar
Ek Tasleem Ko Har Baar Meri Aankh Jhuki Hai
Aap Ko Dekh Ke Badi Der Se Meri Saans Ruki Hai

Aankh Kuchh Laal Si Hai, Raat Jaage To Nahi
Raat Jab Bijli Gayi, Darr Ke Bhaage To Nahi
Kya Laga Honth Taley, Jaise Koi Chot Chaley
Jaane Kya Sochke Iss Baar Meri Aankh Jhuki Hai
Aap Ko Dekh Ke Badi Der Se Meri Saans Ruki Hai

Bekara Hai Bekaraan
Aankhen Bandh Keejay Na
Doobne Lagey Hain Hum
Saans Lene Deejay Na
Aankhen Teri Bekaraan
Asmaan Hi Asmaan

 
1 Comment

Posted by on January 31, 2011 in bollywood, lyrics

 

Tags: , ,

7 Khoon Maaf Lyrics – Darling

Darling, Aankhon Se Aankhen Chaar Karne Do
Roko Na Roko Na Mujhko Pyaar Karne Do
Bekaif Hai Bahara, Bechain Jaane Yaara
Bulbulon Ko Abhi Intezaar Karne Do

Darling, Sorry Tujhe Sunday Ke Din, Zehmat Hui
Darling, Milna Tera Fazl-e-Khuda, Rehmat Hui
Darling, Sorry Tujhe Aate Hue, Zehmat Hui
Darling, Milna Tera Fazl-e-Khuda, Rehmat Hui
Hey Darling, Khadim Ko Dil Par To Ikhtiyar Karne Do

Darling, Chhodo Zara Sharmaney Ka Ye Kaida
Hey Darling, Hairat Bhi Hai Gairat Bhi Hai Kya Faida
Darling, Chhodo Zara Sharmaney Ka Ye Kaida
Hey Darling, Hairat Bhi Hai Gairat Bhi Hai Kya Faida
Hey Darling, Public Mein Sansani Ek Baar Karne Do

 
1 Comment

Posted by on January 31, 2011 in bollywood, lyrics

 

Tags: , ,

‘ye duniya agar mil bhi jaye to kya hai’ revisited

Piyush Mishra has carried forward from where Sahir had left-off. In his mesmerizing words he reminds what a worthless life it is and what worthless causes we are chasing at our own expense. He also makes a reference to Iqbal’s sitaron ke aage jahan aur bhi hai beautifully.

https://i0.wp.com/img1.chakpak.com/se_images/1465187_-1_564_none/gulaal-wallpaper.jpgO ri Duniya…
Surmayi aankhon ke pyaalo ki duniya
Satrangi rangon, gulaalo ki duniya
Alsaayi sejon ke phoolon ki duniya
Angdayi todey kabootar ki duniya
Karvat le soyi hakeekat ki duniya
Deevani hoti tabiyat ki duniya
Khwahish me lipti zaroorat ki duniya
Insaan ke sapno ki, niyat ki duniya

Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai

Mamta ki bikhri kahani ki duniya
Behno ki siski, jawani ki duniya
Aadam ke Havva se rishte ki duniya
Shayar ke pheeke lafzon ki duniya

Ghalib ke, Momin ke khwabon ki duniya
Mijaazon ke, un inquilabon ki duniya
Faiz, Firaq-O-Sahil-O-Makhdoom, Mir ki, Zauk ki, Daagon ki duniya

Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai…

Palchhin me baatein chali jati hain
Palchhin me raatein chali jati hain
Reh jata hai jo savera vo dhoonde
Jalte makaan me basera vo dhoonde
Jaisi bachi hai, vaisi ki vaisi bacha lo ye duniya
Apna samajhke, apno ke jaisi utha lo ye duniya
Chhut-put si baaton mein jalne lagegi, sambhalo ye duniya
Kat-pit ke raaton mein palne lagegi, sambhalo ye duniya

O ri duniya…

Vo kahey hai ki duniya ye itni nahi hai
Sitaron se aage jahan aur bhi hai
Yeh hum hi nahi hai, vahan aur bhi hai
Hamari har ek baat hoti vahin hai
Humey aitraaz nahi hai kahin bhi
Vo Aalim hai, Faazil hai, honge sahi hi
Magar falsafa ye bigad jata hai jo vo kehte hain
Aalim ye kehta vahan Eeshwar hai
Fazil ye kehta vahan Allah hai
Qatil ye kehta vahan Eesa hai
Manzil ye kehti tab insaan se ki
Tumhari hai tum hi sambhalo ye duniya
Yeh bujhte huay chand basi chiraagon
Tumhare ye kaale iraado ki duniya…

 
2 Comments

Posted by on May 11, 2010 in bollywood, lyrics, movies

 

Tags: , , ,